mujhay kuch aur kehna tha (Urdu)
Wo kuch sunta tou main kehta, mujhay kuch aur kehna tha
Wo pal bhar ko jo ruk jata, mujhy kuch aur kehna tha
Kamai zindagi bhar ki usi kay naam tau kar di
Mujhay kuch aur karna tha, mujhay kuch aur kehna tha
Kahan us nay suni meri, suni bhi un-suni kar di
Usay maloom tha itna, mujhay kuch aur kehna tha
Meray dil main jo dar aya, koi mujh main bhi darr aya
Waheen ik rabta toota, mujhay kuch aur kehna tha
Rawan tha pyar nus nus main, bohat qurbat thi apas main
Usay kuch aur sun’na tha, mujhay kuch aur kehna tha!
Ghalat fehmii nay batoon ko barha dala yunhi warna
Kaha kuch tha, wo kuch samhja, mujhay kuch aur kehna tha
(reference is not know, any assistance in this regard will be appreciated)
No Comments »
No comments yet.
RSS feed for comments on this post. TrackBack URI
Leave a comment
You must be logged in to post a comment.
Categories:
Archives:
My Account:
Pages:
