Phir na kehna bewfa humko (Urdu)
This poem is in Urdu, so advance apologies for difficulties in understanding. I found this poem in an email on one of the entertainment e-group may be Bolonaa on msn, I am subscribed to so I am not sure about poet, source, reference etc.
yeh waqt bhi bara zalim hey
iss toofan main bikhar jaien gey hum
Phir na samet-na humko
Phir na dena sada humko
Phir na loat k aaiengey hum
Phir na kehna bewfa humko
Per…Tum Nahi Samjhi (Urdu Poem)
This poem is in Urdu, so advance apologies for difficulties in understanding. I found this poem in an email on one of the entertainment e-group may be Bolonaa on msn, I am subscribed to so I am not sure about poet, source, reference etc.
It is dedicated to one who knows it better then me; enjoy ..
Hamari Dosti aur Pyaar ke Beech ki Patli Lakeer
Kab Mia ne Paar ki nahi pata
Un Nazdekiyon ka sabab batana chaha tha mai ne
Per…Tum Nahi Samjhi
Sang Chata tha Tumhara, Sada ke liye
Kyon-ker Kaise Kehta Tum se?
Tumhare liye apna Pyaar Jatana Chaha tha mai ne
Per…Tum Nahi Samjhi
Kabhi Jhaank ker Meri Aankho mai dekha hota
Saari Dastaan Parh lete Tum
Be-Intiha Pyar Jhalakta tha Tumhare liye in mein
Per…Tum Nahi Samjhi
Badalon ko phar ker,
Taaron ki Chadar se jab Chalkti Chandni Chhuti Mukh ko
To lagta Bahon mai bhar liya Tum ne
Mai Taraptaa Raha Tumhare liye aur is Tarap ko
Per…Tum Nahi Samjhi
Apna Kaam, Apne Dost, Apne Sapno mai Khoi rahi
Apni Masrufiyat se Tumhein na Waqt mila
Mere sapney, Meri Aarzoo, Mere Armano ko
Per…Tum Nahi Samjhi
(the most important – to her)
Mere Armano ko Dafna ker Tum kisi aur ki hoi
Mere Aansuon ko Puchti Tum, Mujhe Samjhati rahi
Un Aansuon ka Sabab, Apna Pyaar Khone ki Tarap
Aur Meri Adhuri Kahani ko
Per…Tum Nahi Samjhi
Categories:
Archives:
My Account:
M | T | W | T | F | S | S |
---|---|---|---|---|---|---|
« Jan | ||||||
1 | 2 | 3 | ||||
4 | 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10 |
11 | 12 | 13 | 14 | 15 | 16 | 17 |
18 | 19 | 20 | 21 | 22 | 23 | 24 |
25 | 26 | 27 | 28 | 29 | 30 | 31 |
Pages: